Showing posts with label Aitbar Poetry. Show all posts
Showing posts with label Aitbar Poetry. Show all posts

Aitbar Na Ho Phir Bhi Intezar Ho

Pyar Wo Nhi Jis Mai Jeet Aur Har Ho
Pyar Koi Chez Nhi Jo Har Waqt Tayar Ho
Pyar Woh Hai Jis Mai Kisi K Ane Ka
Aitbar Na Ho Phir Bhi Intezar Ho............

Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia
Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay...

Qabu Mai Dil Ko Rakh ,Magar Itna Na Yaar Rakh



Aye Dil Khuda Ki Zaat Pe, Tu Aitebaar Rakh
Paiwasta Rah Shajar Se Umeed E Bahaar Rakh
Mai Dagmaga Ke Doob Na Jaon Unhi Mai Phir
Ankhon Ke Sagharon Mai Na Itna Khumaar Rakh
Lagta Hai Dar, Ke Tujh Se Zamaana Na Cheenle
Mujhko Chupa Ke Khaana E Dil Mai Tu Yaar Rakh
Lamhon Ko Qaid Karle Aur Baton Ko Kar Raqam
Jo Ho Sake To Khushion Ki Har Yaadgaar Rakh
Mai Kar Chuki Hon Tujhse To Iqraar Pyaar Ka
Izhaar Kar Ke Khud Bhi Mera Aitebaaar Rakh
Raahein Bahut Kathin Hain ‘Shumaila’ Ye Pyaar Ki
Qabu Mai Dil Ko Rakh ,Magar Itna Na Yaar Rakh !!!




Main Tujhay Sochta Raha Berson



Intezar Aitebar Raha Bersoun
Aik Daricha Khula Raha Bersoun
Aik Din Us Ka Pyaar Barsa Tha
Or Mian Bhigta Raha Barson
Un Ki Aankho K Jaam Yaad Rahay
Bin Piye Bhe Nasha Raha Berson
Tub Kahin Ja K Aik Ghazal Likkhi
Main Tujhay Sochta Raha Berson
Fasley Kum Na Ho Sakay
Aamna Samna Raha Bersoun